Wo Chup Ho Gae Mujhse Kya Kahte Kahte
wo chup ho gae mujh se kya kahte kahte
ki dil rah gaya muddaa kahte kahte
mera ishq bhi KHud-gharaz ho chala hai
tere husn ko bewafa kahte kahte
shab-e-gham kis aaram se so gae hain
fasana teri yaad ka kahte kahte
ye kya paD gai KHu-e-dushnam tum ko
mujhe na-saza barmala kahte kahte
KHabar un ko ab tak nahin mar miTe hum
dil-e-zar ka majra kahte kahte
ajab kya jo hai bad-guman sab se waiz
bura sunte sunte bura kahte kahte
wo aae magar aae kis waqt 'hasrat'
ki hum chal base marhaba kahte kahte
(1276) Peoples Rate This