Aise Kuchh Log Bhi MiTTi Pe Utare Jaen

aise kuchh log bhi miTTi pe utare jaen

dekh kar jin ko KHad-o-KHal sanware jaen

ek hi wasl ki tasir rahegi qaem

kaun chahega yahan sal guzare jaen

tere mizhgan hain ki surat koi qausain ki hai

darmiyan aa ke kahin log na mare jaen

mahi us par khaDa aap ki rah takta hai

aap tazim karen aur kinare jaen

ab mayassar nahin koi bhi Thikana hum ko

tum batao ki kahan dost tumhaare jaen

chand sheron ki zarurat hai unhen KHatir-e-dost

wo ba-zid hain ki wo ashaar hamare jaen

raushni chahiye kuchh der zara aur hamein

chand ruk jae yahin aur sitare jaen

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Kuchh Log Bhi MiTTi Pe Utare Jaen In English By Famous Poet Hassan Ahmad Awan. Aise Kuchh Log Bhi MiTTi Pe Utare Jaen is written by Hassan Ahmad Awan. Read famous Poem Aise Kuchh Log Bhi MiTTi Pe Utare Jaen for youth and Student by Hassan Ahmad Awan. Free Download Aise Kuchh Log Bhi MiTTi Pe Utare Jaen in PDF.