Badan-e-yar Ki Bu-bas UDa Lae Hawa

badan-e-yar ki bu-bas uDa lae hawa

jaan aae jo wahan ho ke yahan aae hawa

badan-e-yar ko bas chhu ke na itrae hawa

itr ki ban ke lipaT mujh se lipaT jae hawa

un ke kuche mein ghubar apna uDa kar le jae

mujh pe ehsan kare mere bhi kaam aae hawa

ho hawa-dar sawari ka mere dosh-e-saba

na-tawan wo hun ki us tak mujhe pahunchae hawa

bandh gai bagh mein teri to hawa baad-e-saba

un ke kuche mein meri aah ki bandh jae hawa

ek nigah baad-e-hawai bhi tumhaari hai sitam

jaan is tir-e-hawai se na ho jae hawa

kyun na ho baad-e-bahaari mujhe ye farmaish

kyun na bandhun main hawa yar jo bandhwae hawa

kitni nazuk wo pari hai ki hawa-dar us ka

surat-e-taKHt-e-sulaiman raha baala-e-hawa

tu mile 'mehr' se ima yahi tariKH ho sach

gulshan-o-baada-o-gul mein tujhe garmae hawa

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan-e-yar Ki Bu-bas UDa Lae Hawa In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Badan-e-yar Ki Bu-bas UDa Lae Hawa is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Badan-e-yar Ki Bu-bas UDa Lae Hawa for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Badan-e-yar Ki Bu-bas UDa Lae Hawa in PDF.