Ba-KHuda Hain Teri Hindu Bu-e-mai-KHwar Aankhen

ba-KHuda hain teri hindu bu-e-mai-KHwar aankhen

nashshe ki Dori nahin pahne hain zunnar aankhen

chashm-e-ahu se gharaz thi na mujhe nargis se

teri aankhon se jo miltin na ye do-chaar aankhen

chaar-chashm is liye kahta hai mujhe ek aalam

ki meri aankhon mein phirti hain teri yar aankhen

dekhte rahte hain hum rah tumhaari sahab

aap aate nahin aa jati hain har bar aankhen

pyar se main ne jo dekha to wo farmate hain

dekhiye dekhiye hoti hain gunahgar aankhen

chum lete hain wo aaine mein aankhen apni

lab masihai karenge ki hain bimar aankhen

aagara chhuT gaya 'mehr' to chunnar mein bhi

DhunDa karti hain wahi kucha-o-bazar aankhen

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-KHuda Hain Teri Hindu Bu-e-mai-KHwar Aankhen In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Ba-KHuda Hain Teri Hindu Bu-e-mai-KHwar Aankhen is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Ba-KHuda Hain Teri Hindu Bu-e-mai-KHwar Aankhen for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Ba-KHuda Hain Teri Hindu Bu-e-mai-KHwar Aankhen in PDF.