Buton Ka Samna Hai Aur Main Hun

buton ka samna hai aur main hun

KHuda ka aasra hai aur main hun

yahan aa kar karen kya yas-o-umid

dil-e-be-muddaa hai aur main hun

mila jo KHak mein qadmon se chhuT ke

wo tera naqsh-e-pa hai aur main hun

KHuda jaane buto hota hai kya haal

yahi gar dil mera hai aur main hun

zara aane to de roz-e-qayamat

sanam tu hai KHuda hai aur main hun

sitam hai zulm hai un ki taraf se

mohabbat hai wafa hai aur main hun

pasand ai 'mehr' hai ye qaul-e-ustad

sanam kucha tera hai aur main hun

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Buton Ka Samna Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Buton Ka Samna Hai Aur Main Hun is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Buton Ka Samna Hai Aur Main Hun for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Buton Ka Samna Hai Aur Main Hun in PDF.