Buton Ka Zikr Kar Waiz KHuda Ko Kis Ne Dekha Hai

buton ka zikr kar waiz KHuda ko kis ne dekha hai

sharar-e-sang musa ke liye barq-e-tajalla hai

ye hindustan hai yan par buton ka rose mela hai

KHuda jaane wo but ai 'mehr' dewi hai ki durga hai

tasawwur us sanam ka hai hamein kabe se kya matlab

charagh apna hai dagh-e-dil hai jo mandir mein jalta hai

juda hai nemat-e-duniya se lazzat bosa-e-lab ki

wo jogi ho gaya jis ne ye mohan bhog chakkha hai

bata jaez hai kis mazhab mein KHun-e-be-gunah zalim

tu hindu hai musalman hai yahudi hai ki tarsa hai

kiya kafir ne kafir 'mehr' se mard-e-musalman ko

janeu rishta-e-tasbih dagh-e-sajda Tika hai

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Buton Ka Zikr Kar Waiz KHuda Ko Kis Ne Dekha Hai In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Buton Ka Zikr Kar Waiz KHuda Ko Kis Ne Dekha Hai is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Buton Ka Zikr Kar Waiz KHuda Ko Kis Ne Dekha Hai for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Buton Ka Zikr Kar Waiz KHuda Ko Kis Ne Dekha Hai in PDF.