Dil Le Gai Wo Zulf-e-rasa Kaam Kar Gai

dil le gai wo zulf-e-rasa kaam kar gai

kaba ko Dah gai ye bala kaam kar gai

aaya na yar maut mera kaam kar gai

nakaam hi raha main qaza kaam kar gai

zahid ne bhi namaz ko apni qaza kiya

wallah un buton ki ada kaam kar gai

us ki gali mein KHak hamari na le chale

apna kabhi na baad-e-saba kaam kar gai

zahid ki aankh mein to barahman ke dil mein hai

taswir-e-but bhi nam-e-KHuda kaam kar gai

bimar-e-ishq ko hui sehat visal se

ai jalinus ek ye dawa kaam kar gai

nale se apne aah-e-rasa raat baDh gai

neze se barchhi aur siwa kaam kar gai

wo ab to chheD chheD ke dete hain galiyan

shukr-e-KHuda ki apni dua kaam kar gai

shikwa nahin hai kuchh malak-ul-maut se mujhe

ek rashk-e-hur aa ke mera kaam kar gai

laila ko ho gaya teri fariyaad ka guman

ai qais zang ki bhi sada kaam kar gai

chhanwai KHak 'mehr'-e-falak-bargah ko

chhoTi si ek chiz baDa kaam kar gai

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Le Gai Wo Zulf-e-rasa Kaam Kar Gai In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Dil Le Gai Wo Zulf-e-rasa Kaam Kar Gai is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Dil Le Gai Wo Zulf-e-rasa Kaam Kar Gai for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Dil Le Gai Wo Zulf-e-rasa Kaam Kar Gai in PDF.