Dopahar Raat Aa Chuki Hila-bahana Ho Chuka

dopahar raat aa chuki hila-bahana ho chuka

aur masti mil chuke gesu mein shana ho chuka

nawak-e-mizhgan ka apna dil nishana ho chuka

mar chuke hum maut aane ka bahana ho chuka

ahd-e-piri hai jawani ka zamana ho chuka

KHatm ab mazmun sher-e-ashiqana ho chuka

ab KHizan hai mausam-e-gul ka zamana ho chuka

ho chuki gul-bang bulbul ka tarana ho chuka

shir se shirin ko raghbat thi unhen hai zauq-e-mai

daur bhi ab aur hai agla zamana ho chuka

saqiya piri mein to shaghl-e-subuhi hai zarur

ab bhi pichhla daur hai agla zamana ho chuka

shabnami par os paDti hai jo apni zist mein

to pas-e-murdan lahad par shamiyana ho chuka

hum to gard-e-karwan the sab se pichhe rah gae

qafila reg-e-rawan ka bhi rawana ho chuka

aasman par tan-e-buKHl ahl-e-zamin ko hai abas

pani pani ho gaya jab dana dana ho chuka

chaT chuke qaid-e-qafas se ab asiran-e-chaman

baad virane ke aabaad aashiyana ho chuka

aamad-e-fasl-e-bahaari ki KHabar lai nasim

bagh mein bulbul ka tayyar aashiyana ho chuka

kya KHizan mein aab-o-rang-e-bagh fawwaron se ho

sab zar-e-gul luT chuka KHali KHazana ho chuka

wae nadani ki ab fikr-e-subuk-doshi hui

daftar-e-isyann jab apna bar-e-shana ho chuka

gil uTha zanjir se pariyon ka diwana hai ye

ishq mein badnam main KHana-ba-KHana ho chuka

gor tak wo sath mayyat ke rahe had ho gai

dushman-e-jaan se bhi haqq-e-dostana ho chuka

hum faqiron ke bhi ghar lai thi un ko sadgi

ab wo lillah hai buton ka karKHana ho chuka

KHwab-e-ghaflat 'mehr' kab tak jagiye uTh baiThiye

subh hone aai shab guzri fasana ho chuka

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dopahar Raat Aa Chuki Hila-bahana Ho Chuka In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Dopahar Raat Aa Chuki Hila-bahana Ho Chuka is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Dopahar Raat Aa Chuki Hila-bahana Ho Chuka for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Dopahar Raat Aa Chuki Hila-bahana Ho Chuka in PDF.