Ghair Hanste Hain Faqat Is Liye Tal Jata Hun

ghair hanste hain faqat is liye Tal jata hun

main bayabanon mein rone ko nikal jata hun

josh wahshat ka hua mausam-e-gul aa pahuncha

kuchh dinon hosh mein rahta hun sambhal jata hun

apni ruKHsat hai buton se bhi ab insha-allah

dair se su-e-haram aaj hi kal jata hun

kucha-e-qatil-e-be-rahm jise kahte hain

main wahan dauD ke mushtaq-e-ajal jata hun

jab nikalne nahin dete hain mujhe zindan se

apne aape se main na-chaar nikal jata hun

ghair albatta tere panw mein malte hain hina

main to aa kar kaf-e-afsos hi mal jata hun

main jo rota hun to kahta hai na kar bad-shaguni

baat kahta hai wo aisi ki dahal jata hun

dost hota hai to hota hai wo dushman ai 'mehr'

wo badal jata hai ya kuchh main badal jata hun

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghair Hanste Hain Faqat Is Liye Tal Jata Hun In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Ghair Hanste Hain Faqat Is Liye Tal Jata Hun is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Ghair Hanste Hain Faqat Is Liye Tal Jata Hun for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Ghair Hanste Hain Faqat Is Liye Tal Jata Hun in PDF.