Gul-bang Thi Gulon Ki Hamara Tarana Tha

gul-bang thi gulon ki hamara tarana tha

apna bhi us chaman mein kabhi aashiyana tha

kucha mein us ke nala mera be-kasana tha

apna bhi is chaman mein kabhi aashiyana tha

jab koi zulf mein bhi na kuchh daKHl-e-shana tha

saudai tha mizaj mera aashiqana tha

bulbul ko apna nala mauzun tarana tha

har gul bhi mail ghazal-e-ashiqana tha

nalon mein bulbulon ki jo rang-e-tarana tha

fasl-e-bahaar thi wo gulon ka zamana tha

uljha hua jo gesu-e-jaanan mein shana tha

sumbul mein ek aur naya shaKH-e-shana tha

saudaiyon ko thi teri uljhan bala ki raat

zulf-e-dota ka tul-o-tawil ek fasana tha

jate hain aap aur bura haal hai mera

aati jo ab to maut ko achchha bahana tha

tir-e-nigah ki jo kaman thi juDi hui

apna jigar kabhi to kabhi dil nishana tha

dariya-e-mai ki ghat utarenge hum unhen

shirin ka ju-e-shir ka agla zamana tha

apni shab-e-visal ka allah-re ehtimam

shabnam ki shabnami thi falak shamiyana tha

kamli ko apna tan ke soya faqir mast

kya pashm tha amiron ka jo shamiyana tha

kaba ka ehtiram KHuda-saz ho gaya

us waqt mein kahan ye tera aastana tha

dair-o-haram mein kya tha agar hum se puchhiye

shayan-e-sajda-e-yar tera aastana tha

kunj-e-qafas mein shikwa-e-sayyaad kya karun

us ka qusur kya hai mera aab-o-dana tha

rozi hua hai dana-e-zanjir-o-ab-e-tegh

qismat ka aashiqon ki ye hai aab-o-dana tha

lohe ke the chane tere chhinTe ghazab ke thi

sayyaad KHub apne liye aab-o-dana tha

ho mujh sa andalib KHush-ilhan asir-e-dam

sayyaad ka nasib mera aab-o-dana tha

gandum jo KHuld mein to yahan thi sharab-e-nab

ek main tha do jagah pe mera aab-o-dana tha

rind-e-sharab-e-KHar raha main tamam-umr

angur ka nasib mujhe aab-o-dana tha

main wo sadaf hun jis ke hai dariya-dili ka shor

jo hans chug raha hai mera aab-o-dana tha

bulbul ke aage apni baDi baat rah gai

ghuncha se to kahin tera chhuTa diya na hath

rangin-KHayaliyan dam-e-fikr-e-suKHan na thin

zeb tan-e-urus libas-e-shahana tha

missi kabhi mali kabhi gesu bana kiye

shab-bhar shab-e-visal mein hila-bahana tha

tujh se siwa to ai sanam allah ka hi nam

achchha tha han hasin tha yusuf bura na tha

yaran-e-raftagan ka nishan KHak DhunDhiye

reg-e-rawan ka qafila tha jo rawana tha

munh dekhi un ke samne kahte nahin hain hum

apni zaban pe wasf-e-dahan ghaebana tha

baad-e-bahaar ja ke oDa lai bagh mein

kya ganj-e-shaegan zar-e-gul ka KHazana tha

apna samand-e-umr jama jam ke uD gaya

shayad hamara raaz-e-nafas taziyana tha

raaz-e-nihan kisi pe na apna ayan hua

na-ashna-e-gosh hamara fasana tha

pahchaniye to KHak ke putlon ki KHak ko

begana kaun kaun sa un mein yagana tha

us shoala-ru ki thi jo dil-e-saf mein jagah

aatish-kada ye 'mehr' ka aaina-KHana tha

(1142) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul-bang Thi Gulon Ki Hamara Tarana Tha In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Gul-bang Thi Gulon Ki Hamara Tarana Tha is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Gul-bang Thi Gulon Ki Hamara Tarana Tha for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Gul-bang Thi Gulon Ki Hamara Tarana Tha in PDF.