Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain

izaen uThae hue dukh pae hue hain

hum dil se ba-tang aae hain uktae hue hain

betab hain bechain hain ghabrae hue hain

hum dil se ba-tang aae hain uktae hue hain

un honThon ke bose ka maza pae hue hain

pyar aaya hai munh takte hain lalchae hue hain

zulfen wo bala ji ko jo uljhae hue hain

juDe ke ulaT beach mein dil aae hue hain

ghusse mein bhare baiThe hain jhallae hue hain

afroKHta hain ghairon ke bhaDkae hue hain

darwaze pe baiThe hain nikalwae hue hain

hum ne to Dhahi di wo ghazab Dhae hue hain

iThlae hue baiThe hain itrae hue hain

ab rup hai joban pe hain gadrae hue hain

kya baat hai kya baat hai teri lab-e-jaan-baKHsh

aisi bhi tere ahd mein dam khae hue hain

mujh par unhen rahm aae ye mumkin hi nahin hai

aise wo samajhte nahin samjhae hue hain

karta ghazab ab tak to hamara dil-e-betab

roke hue DanTe hue dhamkae hue hain

hangama rahega yun hi kuche mein tumhaare

aashiq kahan ja sakte hain dil aae hue hain

aaen to inayat hai nahin aate na aaen

hum dil ko tasawwur hi se bahlae hue hain

dil Thahar gaya zaKHm-e-jigar bhar gae apne

aaram hi hum tum ko jo lipTae hue hain

marne pe bhi afsurda-dili apni ayan hai

turbat pe meri phul bhi murjhae hue hain

aghyar-e-siyah-ru se bahut rabt hai un ko

wo chand hain ai 'mehr' to gahnae hue hain

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain in PDF.