Koi Le Kar KHabar Nahin Aata

koi le kar KHabar nahin aata

jo gaya nama-bar nahin aata

chand kis ja nazar nahin aata

yar kyun mere ghar nahin aata

dam mohabbat ka bhar nahin aata

raaz ifsha to kar nahin aata

ishq kya jaane zahid-e-be-maghz

Dhang ye umr-bhar nahin aata

panDito pattre mein dekho to

kyun mera nama-bar nahin aata

lala har sal rang lata hai

rang-e-dagh-e-jigar nahin aata

wo to kahte hain sabr kar chande

aur yahan sabr kar nahin aata

kabhi puchho lipaT ke sine se

ab to munh ko jigar nahin aata

shisha-e-dil mein o pari-paikar

hai pari to utar nahin aata

hum bhi baaten banaya karte hain

sher kahna magar nahin aata

ghuncha gul ho ke un se kahta hai

kis ka munh ko jigar nahin aata

rang laya nahin abhi rona

abhi laKHt-e-jigar nahin aata

naseha kyun na ho KHayal un ka

KHwab to raat-bhar nahin aata

umr-bhar ek tumhin ko pyar kiya

dil kahin is qadar nahin aata

mere marne ki kya nahin hai KHabar

kyun tu ai be-KHabar nahin aata

kyun bigaDiye bane bane na bane

KHair bande ko shar nahin aata

zabh mujh ko anile-pan ne kiya

qatl qatil ko kar nahin aata

kucha-e-yar hai ki jannat hai

jo gaya phir ke ghar nahin aata

yar koThe pe apne chaDhta hai

mah falak se utar nahin aata

ji na chahe jise main kya chahun

mujh ko be-maut mar nahin aata

dekh kar un ko jis ko dekhe 'mehr'

koi itna nazar nahin aata

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Le Kar KHabar Nahin Aata In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Koi Le Kar KHabar Nahin Aata is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Koi Le Kar KHabar Nahin Aata for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Koi Le Kar KHabar Nahin Aata in PDF.