Kucha Mein Jo Us ShoKH-hasin Ke Na Rahenge

kucha mein jo us shoKH-hasin ke na rahenge

to dair-o-haram kya hai kahin ke na rahenge

nazdik kabhi KHuld-e-barin ke na rahenge

ham-saya bhi ab hum to hasin ke na rahenge

main said hun wahshi mujhe fitraki kahalwa

do tar bhi ab daman-e-zehn ke na rahenge

par wae wasila ho sulaiman ko mubarak

hum nam ko muhtaj nagin ke na rahenge

mar jaenge izhaar-e-tamanna hi se pahle

sunne ko tere munh se nahin ke na rahenge

mirza munshi apni gora na karenge

sunne ko qisas-e-chin-e-jabin ke na rahenge

sun lenge jo mujh gham-zada ke nala-e-mauzun

mushtaq wo diwan-e-hazin ke na rahenge

darwaza ka parda to rahe kan ka parda

hum ru-ba-ru us parda-nashin ke na rahenge

allah ne chaha to hum ai barhamn-e-dair

mushtaq kisi lobat-e-chin ke na rahenge

ruKHsar se tashbih teri denge hum ai jaan

jab dagh ruKH-e-mah-e-mubin ke na rahenge

oDhte hue ye tair-e-rang apna jo dekha

to hosh baja ruh-e-amin ke na rahenge

kis dard ki aawaz se chillai hai bulbul

hum pas to us murgh-e-hazin ke na rahenge

dekhenge jo us but ko to wallah yaqin hai

iman baja ahl-e-yaqin ke na rahenge

paband rahe kaun yahan nam ki KHatir

halqa mein kabhi misl nagin ke na rahenge

hum DhunDte phirte hain tujhe dair-o-haram mein

gar hai ye tamanna to kahin ke na rahenge

paband hue shakl-e-asir ab to yahan 'mehr'

aisa hi jo dil hai to kahin ke na rahenge

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kucha Mein Jo Us ShoKH-hasin Ke Na Rahenge In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Kucha Mein Jo Us ShoKH-hasin Ke Na Rahenge is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Kucha Mein Jo Us ShoKH-hasin Ke Na Rahenge for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Kucha Mein Jo Us ShoKH-hasin Ke Na Rahenge in PDF.