Mere Hi Dil Ke Satane Ko Gham Aaya Sidha

mere hi dil ke satane ko gham aaya sidha

rasta dekh liya hai mere ghar ka sidha

ek surat kabhi talea ki na dekhi hum ne

KHat-e-taqdir likha hai ajab ulTa-sidha

sidhi sidhi hamein har-waqt suna baiThte ho

nam sun paya hai sahab ne hamara sidha

TeDhi banke hue us shoKH ke aage sidhe

kya hi kaj-fahm hai wo jo use samjha sidha

ishq-e-pechan ko kiya hum ne jo aaDa-tirchha

sarw ko yar ne gulshan mein banaya sidha

KHat ke aane pe bhi TeDha hi raha wo hum se

KHizr ne bhi hamein rasta na bataya sidha

'mehr' wallah main qatil hun teri baaton ka

KHub andaz-e-suKHan hai tera sidha sidha

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Hi Dil Ke Satane Ko Gham Aaya Sidha In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Mere Hi Dil Ke Satane Ko Gham Aaya Sidha is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Mere Hi Dil Ke Satane Ko Gham Aaya Sidha for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Mere Hi Dil Ke Satane Ko Gham Aaya Sidha in PDF.