Na Diya Bosa-e-lab Kha Ke Qasam Bhul Gae

na diya bosa-e-lab kha ke qasam bhul gae

de ke aisi mujhe eajaz ka dam bhul gae

chashm-o-abru ko tere dekh ke aata hai KHayal

taq-e-kisra pe yahan saghar-e-jam bhul gae

ai shah-e-husn ye qalamen nahin aariz pe tere

katiban-e-KHat-e-ruKHsar qalam bhul gae

wo bhi kya din the ki aashiq the tumhaare hum bhi

ab to fariyaad-o-fughan dard-o-alam bhul gae

hae qismat ka likha aae to qasid ye kahe

KHat tumhaare liye wo kar ke raqam bhul gae

tera gulzar hai kis bagh ki muli bulbul

ku-e-jaanan mein to hum bagh-e-iram bhul gae

chashm-e-bad-dur wo aankhen hain tumhaari sahab

dekh kar chaukDi aahu-e-haram bhul gae

aap ka dost hai ye apni baghal ka dushman

yaad dilwae wahin dil ne jo hum bhul gae

zaiqa maut ka bas yaad dila deta hai

kya qayamat hai ye kahna tera hum bhul gae

mirza mahr-e-mohabbat tumhein phir yaad aai

dil pe guzri thi jo kuchh ranj-o-alam bhul gae

rah gaya yaad tumhein jaur-o-jafa zulm-o-sitam

lutf-o-altaf-o-inayat-o-karam bhul gae

kaba-e-dil mein bas ab rahti hai allah ki yaad

rasta dair ka hum shakl-e-sanam bhul gae

yaad rahti hai faqat hum ko tere kucha ki

waizon se suna haal-e-iram bhul gae

yaad rakhne ki ye baaten hain baja hai sach hai

aap bhule na hamein aap ko hum bhul gae

dil se dil ko hai agar rah to hai yaad se yaad

tum hamein bhul gae tum ko bhi hum bhul gae

bas hamare hi liye aap ko nisyan bhi hai

kabhi ghairon ko na sahab koi dam bhul gae

kucha-e-zulf mein ya halqa-e-gesu mein tere

yaad aata hai yahin dil kahin hum bhul gae

sher-e-hindi jo sune 'mehr' jigar tafta ke

apna andaz-e-fasihan-e-ajam bhul gae

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Diya Bosa-e-lab Kha Ke Qasam Bhul Gae In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Na Diya Bosa-e-lab Kha Ke Qasam Bhul Gae is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Na Diya Bosa-e-lab Kha Ke Qasam Bhul Gae for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Na Diya Bosa-e-lab Kha Ke Qasam Bhul Gae in PDF.