Nala-e-garm Ke Aur Dam Sard Bhare Kya Jien Hum To Mare

nala-e-garm ke aur dam sard bhare kya jien hum to mare

ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare

fasl-e-gul aai ye aur mein hun giraftar-e-qafas kuchh bhi chalta nahin bas

ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare

phans gae dam mein sayyaad ke shayad bulbul rose sunta hun ye ghul

ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare

main hun sayyaad hai aur shor-o-fughan-o-faryaad koi deta nahin dad

ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare

bhul kar kunj-e-qafas tak kabhi aae na saba na sunana nala mera

ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare

koi qatil main rahi 'mehr' se kitni hi shahid main hun aur qaid-e-shadid

ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare

(674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nala-e-garm Ke Aur Dam Sard Bhare Kya Jien Hum To Mare In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Nala-e-garm Ke Aur Dam Sard Bhare Kya Jien Hum To Mare is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Nala-e-garm Ke Aur Dam Sard Bhare Kya Jien Hum To Mare for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Nala-e-garm Ke Aur Dam Sard Bhare Kya Jien Hum To Mare in PDF.