Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya

poshak-e-siyah mein ruKH-e-jaanan nazar aaya

shab ko hamein KHurshid daraKHshan nazar aaya

dekha na kahin kufr na iman nazar aaya

hindu koi paya na musalman nazar aaya

malbus-e-siyah mein ruKH-e-jaanan nazar aaya

zulmat mein yan chashma-e-haiwan nazar aaya

baalon mein chhupa chehra-e-jaanan nazar aaya

parda mein yahan kufr ke iman nazar aaya

phir josh-e-junun silsila-e-jumba nazar aaya

phir be-sar-o-samani ka saman nazar aaya

pariyan jise kandhe pe uThati thin hamesha

barbaad wo aurang-e-sulaiman nazar aaya

bain-hama wusat bhi hai kya KHwan-e-falak-tang

aasuda na us ka koi mehman nazar aaya

aankhon ke tale phir gaya wo aahu-e-shahri

jangal mein jo aahu-e-bayaban nazar aaya

majma mein raqibon ke khula tha tera joDa

kal raat ajab KHwab-e-pareshan nazar aaya

jis dasht mein phuTe hain mere aabla-pa

koson wahi sarsabz-e-nistan nazar aaya

ta-sal-e-digar mai ki KHurd zinda ki mand

mah-e-ramzan saqi-e-dauran nazar aaya

diwana hun par kaam mein hoshiyar hun apne

yusuf ka KHayal aaya jo zindan nazar aaya

shoKH-e-mizha-e-bargashta ki dekhi nigah-e-qahr

aahu bhi mujhe sher-e-niystan nazar aaya

mayus phiri aati hain kyun meri duaen

kya bab-e-ijabat pe bhi darban nazar aaya

main zar-e-mah-e-nau hun ki us ne mujhe ai 'mehr'

jab ghaur se dekha to kaha han nazar aaya

(1038) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya in PDF.