Qata Ho Kar Kakul-e-shab-gir Aadhi Rah Gai

qata ho kar kakul-e-shab-gir aadhi rah gai

ab to ai saudaiyo zanjir aadhi rah gai

sari botal ab kahan aadhi mein karte hain guzar

munsifi se mohtasib tazir aadhi rah gai

sham ka wada kiya aae wo aadhi raat ko

jazba-e-dil ki mere tasir aadhi rah gai

Dhal gaya ahd-e-jawani ho gaya aaKHir shabab

zindagi apni bhi charKH-e-pir aadhi rah gai

ek kashish-e-ishq kaman-e-abru ki hai teri taDap

buad mein jo rah thi do tir aadhi rah gai

jubba-sai karte karte ghis gai lauh-e-jabin

meri qismat ki jo thi tahrir aadhi rah gai

sari izzat naukri se is zamane mein hai 'mehr'

jab hue be-kar bas tauqir aadhi rah gai

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qata Ho Kar Kakul-e-shab-gir Aadhi Rah Gai In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Qata Ho Kar Kakul-e-shab-gir Aadhi Rah Gai is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Qata Ho Kar Kakul-e-shab-gir Aadhi Rah Gai for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Qata Ho Kar Kakul-e-shab-gir Aadhi Rah Gai in PDF.