Rang-e-sohbat Badalte Jate Hain

rang-e-sohbat badalte jate hain

sath ke yar chalte jate hain

jin ki karte ho tum masihai

wo mariz ab sambhalte jate hain

dil mein hone laga huzur ka ghar

aap sanche mein Dhalte jate hain

zulf ulajhte hai un ke baalon se

sanp ka sar kuchalte jate hain

shaeq-e-qatl ku-e-qatil mein

kudte aur uchhalte jate hain

dekhte hain wo apna joban aap

ab to kuchh kuchh sambhalte jate hain

hum to rote udhar se aate hain

aap idhar se machalte jate hain

'mehr' soe the kis ke sath ki subh

ThanDe ThanDe bhi jalte jate hain

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang-e-sohbat Badalte Jate Hain In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Rang-e-sohbat Badalte Jate Hain is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Rang-e-sohbat Badalte Jate Hain for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Rang-e-sohbat Badalte Jate Hain in PDF.