Saqi Hai Na Mai Hai Na Daf-o-chang Hai Holi

saqi hai na mai hai na daf-o-chang hai holi

kya haal hai imsal ye kya rang hai holi

aai hai jo furqat mein mera KHun karegi

ye bhi tere aane ka koi Dhang hai holi

hum KHak uDate hain dholenDi hai yahan par

hum tak nahin aati kabhi kya lang hai holi

sau bar jalata hun main ek aah se dam mein

aa kar mere virane mein kya tang hai holi

nikla mah-e-naKHshab ki gira chah mein yusuf

ya hauz ke andar mah-e-gul-rang hai holi

pichkari agar KHama hai to rang siyahi

rangini-e-mazmun se mere dang hai holi

har but ewaz-e-qumquma dil mang raha hai

is sal ki wallah ki be-rang hai holi

ai 'mehr' tere gird hain mah-ru kiye taswir

fanus-e-KHayali hai ki arzang hai holi

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saqi Hai Na Mai Hai Na Daf-o-chang Hai Holi In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Saqi Hai Na Mai Hai Na Daf-o-chang Hai Holi is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Saqi Hai Na Mai Hai Na Daf-o-chang Hai Holi for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Saqi Hai Na Mai Hai Na Daf-o-chang Hai Holi in PDF.