Chaman Wahi Hai GhaTaen Wahi Bahaar Wahi

chaman wahi hai ghaTaen wahi bahaar wahi

magar gulon mein wo ab rang-o-bu nahin baqi

hai dil-kashi mein wahi ab bhi mausamon ki bahaar

nazar mein kaifiyat-e-rang-o-bu nahin baqi

shabab-e-dahr ki ab bhi hai wo farawani

magar KHayal mein josh-e-numu nahin baqi

hai dil mein dard bhi pahlu mein dil bhi hai lekin

kisi ke dard pe rone ki KHu nahin baqi

haram ki sham-e-farozan hai aaj bhi lekin

tajassus-e-nazar-e-shola-ju nahin baqi

gale to milte hain ahbab ai 'haya' ab bhi

magar dilon mein sadaqat ki bu nahin baqi

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaman Wahi Hai GhaTaen Wahi Bahaar Wahi In English By Famous Poet Haya Lakhnavi. Chaman Wahi Hai GhaTaen Wahi Bahaar Wahi is written by Haya Lakhnavi. Read famous Poem Chaman Wahi Hai GhaTaen Wahi Bahaar Wahi for youth and Student by Haya Lakhnavi. Free Download Chaman Wahi Hai GhaTaen Wahi Bahaar Wahi in PDF.