Na Hoti Haal-e-dil Kahne Ki Gar Himmat To Achchha Tha

na hoti haal-e-dil kahne ki gar himmat to achchha tha

na sunet kash wo sharh-e-gham-e-ulfat to achchha tha

meri betabi-e-dil baDh gai hai al-aman kitni

nikalti gar na shauq-e-did ki hasrat to achchha tha

wo rahat-be-ziyan sabit hui kitni hubab-asa

kabhi hota na itmam-e-shab-e-furqat to achchha tha

hua kyun iltifat un ka baDha kyun hausla mera

nihan phulon mein rahti aah gar nikhat to achchha tha

tamanna hai fuzun hon shorishen jazb-e-mohabbat ki

dil-e-muztar ki baDhti aur bhi wahshat to achchha tha

rahen gham ki sharar-angeziyan ya-rab qayamat tak

'haya' gham se na milti gar kabhi fursat to achchha tha

(650) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Hoti Haal-e-dil Kahne Ki Gar Himmat To Achchha Tha In English By Famous Poet Haya Lakhnavi. Na Hoti Haal-e-dil Kahne Ki Gar Himmat To Achchha Tha is written by Haya Lakhnavi. Read famous Poem Na Hoti Haal-e-dil Kahne Ki Gar Himmat To Achchha Tha for youth and Student by Haya Lakhnavi. Free Download Na Hoti Haal-e-dil Kahne Ki Gar Himmat To Achchha Tha in PDF.