Kab Qabil-e-taqlid Hai Kirdar Hamara

kab qabil-e-taqlid hai kirdar hamara

har lamha guzarta hai KHatawar hamara

marna bhi jo chahen to wo marne nahin dega

jina bhi kiye rahta hai dushwar hamara

achchha hai udhar kuchh nazar aata nahin hum ko

jo kuchh bhi hai wo sab pas-e-diwar hamara

ek roz to ye fasla tai kar ke rahenge

hai kab se koi muntazir us par hamara

hum ko ye KHushi hai ki idhar aae to patthar

hai shahr mein koi to talabgar hamara

koi to ye tanhai ka ehsas miTae

koi to nazar aae taraf-dar hamara

hum ne to 'hayat' aas lagai hai KHuda se

hai us ke siwa kaun madad-gar hamara

(940) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Qabil-e-taqlid Hai Kirdar Hamara In English By Famous Poet Hayat Lakhnavi. Kab Qabil-e-taqlid Hai Kirdar Hamara is written by Hayat Lakhnavi. Read famous Poem Kab Qabil-e-taqlid Hai Kirdar Hamara for youth and Student by Hayat Lakhnavi. Free Download Kab Qabil-e-taqlid Hai Kirdar Hamara in PDF.