Apne Kahte Hain Koi Baat To Dukh Hota Hai

apne kahte hain koi baat to dukh hota hai

hans ke karte hain ishaaraat to dukh hota hai

jin se mansub mere dil ki har ek dhaDkan ho

wo na samjhen mere jazbaat to dukh hota hai

mujh ko mahrum kiya tum ne gila koi nahin

hon jo ghairon pe inayat to dukh hota hai

jism-o-jaan jin ke liye hum ne luTa Dale hun

chhoD jaen jo wahi sath to dukh hota hai

dur se roz-e-masarrat ka dikha kar baadal

gham ki karte hain jo barsat to dukh hota hai

hijr mein din to kisi taur guzar jate hain

jalne lagti hai kabhi raat to dukh hota hai

be-sabab chhoD diya us ne koi baat nahin

log karte hain sawalat to dukh hota hai

mujh ko be-laus mohabbat ke ewaz mein 'shamsi'

ho ata zaKHm ki saughat to dukh hota hai

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Kahte Hain Koi Baat To Dukh Hota Hai In English By Famous Poet Hidayatullah Khan Shamsi. Apne Kahte Hain Koi Baat To Dukh Hota Hai is written by Hidayatullah Khan Shamsi. Read famous Poem Apne Kahte Hain Koi Baat To Dukh Hota Hai for youth and Student by Hidayatullah Khan Shamsi. Free Download Apne Kahte Hain Koi Baat To Dukh Hota Hai in PDF.