Main Akasr Sochti Hun Zindagi Ko Kaun Likkhega

main akasr sochti hun zindagi ko kaun likkhega

na main likkhun to phir is bebasi ko kaun likhega

bahut masruf hain ahl-e-jahan harza-sarai mein

ab aashob-e-suKHan mein be-hisi ko kaun likkhega

kai sadiyan guzarin manzilon ke khoj mein phirte

to phir mere siwa is gumrahi ko kaun likkhega

hum is shahr-e-jafa-pesha se kuchh ummid kya rakkhen

yahan is haw-hu mein KHamushi ko kaun likkhega

use fursat nahin sahil, samundar, mauj likhne se

pareshan hun meri tishna-labi ko kaun likkhega

'hijab' is shahr-e-na-pursan mein sab jhagDa ana ka hai

surur-e-KHud-parasti mein KHudi ko kaun likkhega

(1079) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Akasr Sochti Hun Zindagi Ko Kaun Likkhega In English By Famous Poet Hijab Abbasi. Main Akasr Sochti Hun Zindagi Ko Kaun Likkhega is written by Hijab Abbasi. Read famous Poem Main Akasr Sochti Hun Zindagi Ko Kaun Likkhega for youth and Student by Hijab Abbasi. Free Download Main Akasr Sochti Hun Zindagi Ko Kaun Likkhega in PDF.