Aankhon Mein Wo KHwab Nahin Baste Pahla Sa Wo Haal Nahin Hota

aankhon mein wo KHwab nahin baste pahla sa wo haal nahin hota

ab fasl-e-bahaar nahin aati aur ranj o malal nahin hota

is aql ki mari nagri mein kabhi pani aag nahin banta

yahan ishq bhi log nahin karte yahan koi kamal nahin hota

hum aaj bahut hi pareshan hain is waqt ke pher se hairan hain

hamein le ke chalo kisi aisi taraf jahan hijr o visal nahin hota

jitni hai nadamat tum ko ab utne hi pashiman hum bhi hain

tum us ka jawab hi kyun socho hum se jo sawal nahin hota

wo basti bhi ek basti thi ye basti bhi ek basti hai

wahan TuT ke dil juD jate the yahan koi KHayal nahin hota

is shahr ki rit ko aam karen jhuk jhuk ke sabhi ko salam karen

har kaam to hum kar lete hain yahi kaam 'hilal' nahin hota

(679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Wo KHwab Nahin Baste Pahla Sa Wo Haal Nahin Hota In English By Famous Poet Hilal Fareed. Aankhon Mein Wo KHwab Nahin Baste Pahla Sa Wo Haal Nahin Hota is written by Hilal Fareed. Read famous Poem Aankhon Mein Wo KHwab Nahin Baste Pahla Sa Wo Haal Nahin Hota for youth and Student by Hilal Fareed. Free Download Aankhon Mein Wo KHwab Nahin Baste Pahla Sa Wo Haal Nahin Hota in PDF.