Aansu To Koi Aankh Mein Laya Nahin Hun Main

aansu to koi aankh mein laya nahin hun main

jaisa magar laga tumhein waisa nahin hun main

ab mubtala-e-ishq zyaada nahin hun main

kahte ho tum yahi to phir achchha nahin hun main

KHubi na ho koi magar itna to hai zarur

jhuTi lage jo baat wo kahta nahin hun main

pani pe bante aks ki manind hun magar

aankhon mein koi bhar le to miTta nahin hun main

is tarah KHud ko mujh pe numayan na kijiye

insan hun huzur farishta nahin hun main

raston ke KHam wa pech mein aisa raha hun gharq

ab tak kisi maqam pe Thahra nahin hun main

sauda hai mere sar mein to pairon mein bhi hai dam

chalta hun ek bar to rukta nahin hun main

mano meri bhi baat ki sab kuchh luTa ke bhi

jita hun us ke ishq mein haara nahin hun main

sun lo 'hilal' aaj hi sunna hai jo ghazal

phir mujh se mat ye kahna sunata nahin hun main

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aansu To Koi Aankh Mein Laya Nahin Hun Main In English By Famous Poet Hilal Fareed. Aansu To Koi Aankh Mein Laya Nahin Hun Main is written by Hilal Fareed. Read famous Poem Aansu To Koi Aankh Mein Laya Nahin Hun Main for youth and Student by Hilal Fareed. Free Download Aansu To Koi Aankh Mein Laya Nahin Hun Main in PDF.