Kabhi To Sehn-e-ana Se Nikle Kahin Pe Dasht-e-malal Aaya

kabhi to sehn-e-ana se nikle kahin pe dasht-e-malal aaya

hamari wahshat pe kaisa kaisa uruj aaya zawal aaya

adawaten thin mohabbaten thin na jaane kitni hi hasraten thin

magar phir aisa hua ki sab kuchh main KHud hi dil se nikal aaya

kabhi ibaadat kabhi inayat kabhi duaen kabhi ataen

kahin pe dast-e-talab bane hum kahin pe hum tak sawal aaya

gulon ke chehre khile hue hain hawa mein KHush-bu mahak rahi hai

ye meri aankhon ne KHwab dekha ki sail-e-husn-o-jamal aaya

tamam ranj o mehan ko chhoDen tumhin ko dekhen tumhin ko sochen

baDe zamane ke baad dil mein ye bhula bisra KHayal aaya

ghazal sunaun to dad paun magar main tum se bhi kya chhupaun

tumhi ne sare hunar sikhae tumhi se rang-e-'hilal' aaya

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi To Sehn-e-ana Se Nikle Kahin Pe Dasht-e-malal Aaya In English By Famous Poet Hilal Fareed. Kabhi To Sehn-e-ana Se Nikle Kahin Pe Dasht-e-malal Aaya is written by Hilal Fareed. Read famous Poem Kabhi To Sehn-e-ana Se Nikle Kahin Pe Dasht-e-malal Aaya for youth and Student by Hilal Fareed. Free Download Kabhi To Sehn-e-ana Se Nikle Kahin Pe Dasht-e-malal Aaya in PDF.