Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha

rukne ke liye dast-e-sitam-gar bhi nahin tha

afsos kisi hath mein patthar bhi nahin tha

bahar jo nahin tha to koi baat nahin thi

ehsas-e-nadamt magar andar bhi nahin tha

jannat na mujhe di to main dozaKH bhi na lunga

momin jo nahin tha to main kafir bhi nahin tha

lauTa jo watan ko to wo raste hi nahin the

jo ghar tha wahan wo to mera ghar bhi nahin tha

anjam to zahir tha safen TuT chuki thin

salar-e-muazzaz sar-e-lashkar bhi nahin tha

afsos qabile pe khula ghair ke hathon

sardar ke pahlu mein to KHanjar bhi nahin tha

jo baat kahi thi wo bahut saf kahi thi

dil mein jo nahin tha wo zaban par bhi nahin tha

ye sach hai qasida na 'hilal' ek bhi likkha

ye sach hai ki main shah ka naukar bhi nahin tha

(3234) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha In English By Famous Poet Hilal Fareed. Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha is written by Hilal Fareed. Read famous Poem Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha for youth and Student by Hilal Fareed. Free Download Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha in PDF.