Thi Ajab Hi Dastan Jab Tamam Ho Gai

thi ajab hi dastan jab tamam ho gai

ek misal ban gai ek payam ho gai

raat jab jawan hui jab diyon ke sar uThe

tab hawa bhi aur kuchh tez-gam ho gai

ek bas nazar paDi us ke baad yun hua

main ne jo ghazal likhi tere nam ho gai

miT rahi thi tishnagi baDh rahi thi dosti

phir ana ki tegh kyun be-niyam ho gai

falsafe ko chhoDiye kya kahenge sochiye

zindagi jo aap se ham-kalam ho gai

tanz to bahut hue par ajib baat hai

rah jo hamari thi rah-e-am ho gai

kaisi umda qaum thi kya hi zinda qaum thi

aaKHir us ko kya hua kyun ghulam ho gai

jam-e-ishq pi chuke zindagi bhi ji chuke

ab 'hilal' ghar chalo ab to sham ho gai

(1305) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thi Ajab Hi Dastan Jab Tamam Ho Gai In English By Famous Poet Hilal Fareed. Thi Ajab Hi Dastan Jab Tamam Ho Gai is written by Hilal Fareed. Read famous Poem Thi Ajab Hi Dastan Jab Tamam Ho Gai for youth and Student by Hilal Fareed. Free Download Thi Ajab Hi Dastan Jab Tamam Ho Gai in PDF.