Aae The Tere Shahr Mein Kitni Lagan Se Hum

aae the tere shahr mein kitni lagan se hum

mansub ho sake na teri anjuman se hum

bezar aa na jaen gham-e-jaan-o-tan se hum

apne watan mein rah ke bhi hain be-watan se hum

yun be-ruKHi se pesh na aa ahl-e-dil ke sath

uTh kar chale na jaen teri anjuman se hum

ye sar-kashi junun nahin pindar-e-ishq hai

guzre hain dar se bhi usi bankpan se hum

mehr-o-mah-o-nujum ki manind roz-o-shab

har jaur-e-asman pe rahe KHanda-zan se hum

milte hain roz dast-e-saba se payam-e-gul

zindan mein bhi qarib hain ahl-e-chaman se hum

'shair' adab ke mohtasibon ko KHabar nahin

kya kaam le rahe hain taghazzul ke fan se hum

(3154) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aae The Tere Shahr Mein Kitni Lagan Se Hum In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Aae The Tere Shahr Mein Kitni Lagan Se Hum is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Aae The Tere Shahr Mein Kitni Lagan Se Hum for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Aae The Tere Shahr Mein Kitni Lagan Se Hum in PDF.