Aaj Ki Shab Jaise Bhi Ho Mumkin Jagte Rahna

aaj ki shab jaise bhi ho mumkin jagte rahna

koi nahin hai jaan ka zamin jagte rahna

qazzaqon ke dasht mein jab tak qafila Thahre

qafile walo raat ho ya din jagte rahna

tariki mein lipTi hui pur-haul KHamoshi

is aalam mein kya nahin mumkin jagte rahna

aahaT aahaT par jaane kyun dil dhaDke hai

koi nahin atraf mein lekin jagte rahna

ThanDi hawaon ka ai dil ehsan na uThana

koi yahan hamdard na mohsin jagte rahna

rah-numa sab dost hain lekin ai ham-safro

dost ka kya zahir kya baatin jagte rahna

taron ki aankhen bhi bojhal bojhal si hain

koi nahin ab 'shair' tujh-bin jagte rahna

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ki Shab Jaise Bhi Ho Mumkin Jagte Rahna In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Aaj Ki Shab Jaise Bhi Ho Mumkin Jagte Rahna is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Aaj Ki Shab Jaise Bhi Ho Mumkin Jagte Rahna for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Aaj Ki Shab Jaise Bhi Ho Mumkin Jagte Rahna in PDF.