Aankh Ki Qismat Hai Ab Bahta Samundar Dekhna

aankh ki qismat hai ab bahta samundar dekhna

aur phir ek Dubte suraj ka manzar dekhna

sham ho jae to din ka gham manane ke liye

ek shola sa munawwar apne andar dekhna

raushni mein apni shaKHsiyat pe jab bhi sochna

apne qad ko apne sae se bhi kam-tar dekhna

sang-e-manzil istiara sang-e-marqad ka na ho

apne zinda jism ko patthar bana kar dekhna

kaisi aahaT hai pas-e-diwar aaKHir kaun hai

aankh banta ja raha hai rauzan-e-dar dekhna

aisa lagta hai ki diwaron mein dar khul jaenge

saya-e-diwar ke KHamosh tewar dekhna

ek taraf uDte ababil ek taraf ashab-e-fil

ab ke apne kaba-e-jaan ka muqaddar dekhna

safha-e-qirtas hai ya zang-KHurda aaina

likh rahe hain aaj kya apne suKHan-war dekhna

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Ki Qismat Hai Ab Bahta Samundar Dekhna In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Aankh Ki Qismat Hai Ab Bahta Samundar Dekhna is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Aankh Ki Qismat Hai Ab Bahta Samundar Dekhna for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Aankh Ki Qismat Hai Ab Bahta Samundar Dekhna in PDF.