Apna Andaz-e-junun Sab Se Juda Rakhta Hun Main

apna andaz-e-junun sab se juda rakhta hun main

chaak-e-dil chaak-e-gareban se siwa rakhta hun main

ghaznawi hun aur giraftar-e-KHam-e-zulf-e-ayaz

but-shikan hun aur dil mein but-kada rakhta hun main

hai KHud apni aag se har paikar-e-gul tabnak

le hawa ki zad pe miTTi ka diya rakhta hun main

main ki apni qabr mein bhi zinda hun ghar ki tarah

har kafan ko apne gird ehram sa rakhta hun main

dasht-e-ghurbat mein hun aawara misal-e-gard-baad

koi manzil hai na koi naqsh-e-pa rakhta hun main

mera saya bhi nahin mera ujale ke baghair

aur ujale ka tasawwur KHwab sa rakhta hun main

(997) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apna Andaz-e-junun Sab Se Juda Rakhta Hun Main In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Apna Andaz-e-junun Sab Se Juda Rakhta Hun Main is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Apna Andaz-e-junun Sab Se Juda Rakhta Hun Main for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Apna Andaz-e-junun Sab Se Juda Rakhta Hun Main in PDF.