Badan Pe Pairahan-e-KHak Ke Siwa Kya Hai

badan pe pairahan-e-KHak ke siwa kya hai

mere alaw mein ab rakh ke siwa kya hai

ye shahr-e-sajda-guzaran dayar-e-kam-nazaran

yatim-KHana-e-idrak ke siwa kya hai

tamam gumbad-o-minar-o-mimbar-o-mehrab

faqih-e-shahr ki imlak ke siwa kya hai

khule saron ka muqaddar ba-e-faiz-e-jahl-e-KHirad

fareb-e-saya-e-aflak ke siwa kya hai

tamam umr ka hasil ba-fazl-e-rabb-e-karim

mata-e-dida-e-namnak ke siwa kya hai

ye mera dawa-e-KHud-bini-o-jahan-bini

meri jihaalat-e-saffak ke siwa kya hai

jahan-e-fikr-o-amal mein ye mera zom-e-wajud

faqat numaish-e-poshak ke siwa kya hai

(1084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Pe Pairahan-e-KHak Ke Siwa Kya Hai In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Badan Pe Pairahan-e-KHak Ke Siwa Kya Hai is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Badan Pe Pairahan-e-KHak Ke Siwa Kya Hai for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Badan Pe Pairahan-e-KHak Ke Siwa Kya Hai in PDF.