Chand Ne Aaj Jab Ek Nam Liya AaKHir-e-shab

chand ne aaj jab ek nam liya aaKHir-e-shab

dil ne KHwabon se bahut kaam liya aaKHir-e-shab

hae wo KHwab ki tabir se sarshaar bhi tha

us ki aankhon se jo inam liya aaKHir-e-shab

hae kya pyas thi jab us ke labon se main ne

muskuraata hua ek jam liya aaKHir-e-shab

main jo girta bhi to qadmon mein usi ke girta

us ne KHud baDh ke mujhe tham liya aaKHir-e-shab

zindagi bhar ki masafat ka mudawa kahiye

us ki bahon mein jo aaram liya aaKHir-e-shab

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Ne Aaj Jab Ek Nam Liya AaKHir-e-shab In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Chand Ne Aaj Jab Ek Nam Liya AaKHir-e-shab is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Chand Ne Aaj Jab Ek Nam Liya AaKHir-e-shab for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Chand Ne Aaj Jab Ek Nam Liya AaKHir-e-shab in PDF.