Is Shahr-e-KHuftgan Mein Koi To Azan De

is shahr-e-KHuftgan mein koi to azan de

aisa na ho zamin ka jawab aasman de

paDhna hai to nawishta-e-bainassutur paDh

tahrir-e-be-huruf ke mani pe dhyan de

suraj to kya bujhega magar ai hawa-e-mahr

tapti zamin pe abr ki chadar hi tan de

ab dhup se gurez karoge to ek din

mumkin hai saya bhi na koi saeban de

main sochta hun is liye shayad main zinda hun

mumkin hai ye guman haqiqat ka gyan de

main sach to bolta hun magar ai KHuda-e-harf

tu jis mein sochta hai mujhe wo zaban de

suraj ke gird ghum raha hun zamin ke sath

is gardish-e-mudam se mujh ko aman de

main tangi-e-makan se na ho jaun tang-dil

apni tarah mujhe bhi koi la-makan de

meri gawahi dene lagi meri shaeri

yarab mere suKHan ko wo husn-e-bayan de

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Shahr-e-KHuftgan Mein Koi To Azan De In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Is Shahr-e-KHuftgan Mein Koi To Azan De is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Is Shahr-e-KHuftgan Mein Koi To Azan De for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Is Shahr-e-KHuftgan Mein Koi To Azan De in PDF.