Jo Kuchh Bhi Guzarta Hai Mere Dil Pe Guzar Jae

jo kuchh bhi guzarta hai mere dil pe guzar jae

utra hua chehra meri dharti ka nikhar jae

ek shahr-e-sada sine mein aabaad hai lekin

ek aalam-e-KHamosh hai jis samt nazar jae

hum bhi hain kisi kahf ke ashab ki manind

aisa na ho jab aankh khule waqt guzar jae

jab sanp hi Daswane ki aadat hai to yaro

jo zahr zaban par hai wo dil mein bhi utar jae

kashti hai magar hum mein koi nuh nahin hai

aaya hua tufan KHuda jaane kidhar jae

main saya kiye abr ke manind chalunga

ai dost jahan tak bhi teri rahguzar jae

main kuchh na kahun aur ye chahun ki meri baat

KHushbu ki tarah uD ke tere dil mein utar jae

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Kuchh Bhi Guzarta Hai Mere Dil Pe Guzar Jae In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Jo Kuchh Bhi Guzarta Hai Mere Dil Pe Guzar Jae is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Jo Kuchh Bhi Guzarta Hai Mere Dil Pe Guzar Jae for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Jo Kuchh Bhi Guzarta Hai Mere Dil Pe Guzar Jae in PDF.