Nala-e-gham Shoala-asar Chahiye

nala-e-gham shoala-asar chahiye

chaak-e-dil ab ta-ba-jigar chahiye

kitne mah-o-najm hue nazr-e-shab

ai gham-e-dil ab to sahar chahiye

manzilen hain zer-e-kaf-e-pa magar

ek zara azm-e-safar chahiye

aaina-KHane mein hai darkar kya

chahiye ek sang agar chahiye

dur hai dil manzil-e-gham se hanuz

ek ghalat andaz-e-nazar chahiye

tishnagi-e-lab ka taqaza hai ab

baada ho ya zahr magar chahiye

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nala-e-gham Shoala-asar Chahiye In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Nala-e-gham Shoala-asar Chahiye is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Nala-e-gham Shoala-asar Chahiye for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Nala-e-gham Shoala-asar Chahiye in PDF.