Pindar-e-zohd Ho Ki Ghurur-e-barhamani

pindar-e-zohd ho ki ghurur-e-barhamani

is dair-e-but-shikan mein hai har but shikastni

sarsar chale ki tund bagulon ka raqs ho

mauj-e-numu rawan hai to har gul shaguftani

gul-chin-o-gul-farosh ki KHatir hai fasl-e-gul

aur qismat-e-junun hai faqat chaak-damani

diwar-e-abr khinchiye kirnon ki rah mein

zarron mein qaid kijiye suraj ki raushni

mauj-e-nafas se larze hai tar-e-rag-e-hayat

phaili hai shahr-e-dil mein wo pur-haul sansani

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pindar-e-zohd Ho Ki Ghurur-e-barhamani In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Pindar-e-zohd Ho Ki Ghurur-e-barhamani is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Pindar-e-zohd Ho Ki Ghurur-e-barhamani for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Pindar-e-zohd Ho Ki Ghurur-e-barhamani in PDF.