Ye Baat To Nahin Hai Ki Main Kam Swad Tha

ye baat to nahin hai ki main kam swad tha

TuTa hun is bina pe ki main kaj-nihad tha

ilzam apni maut ka mausam pe kyun dharun

mere badan mein mere lahu ka fasad tha

ab main bhi jal ke rakh hun mere jahaz bhi

kal mera nam tariq-e-ibn-e-ziyaad tha

iman bhi laj rakh na saka mere jhuT ki

apne KHuda pe kitna mujhe e'timad tha

gahre samundaron mein bhi patthar mile mujhe

tha main guhar-shanas magar sang-zad tha

tu baadban darida safine ka naKHuda

aur qulzum-e-sarab ka main sindbaad tha

ab hun zaban burida to ye soch kar hun chup

ye bhi suKHan-shanas ka andaz-dad tha

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Baat To Nahin Hai Ki Main Kam Swad Tha In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Ye Baat To Nahin Hai Ki Main Kam Swad Tha is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Ye Baat To Nahin Hai Ki Main Kam Swad Tha for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Ye Baat To Nahin Hai Ki Main Kam Swad Tha in PDF.