Yam-ba-yam Phaila Hua Hai Pyas Ka Sahra Yahan

yam-ba-yam phaila hua hai pyas ka sahra yahan

ek sarab-e-tishnagi hai mauja-e-sahba yahan

raushni ke zawiyon par munhasir hai zindagi

aap ke bas mein nahin hai aap ka saya yahan

aate aate aankh tak dil ka lahu pani hua

kis qadar arzan hai apne KHun ka sauda yahan

tere mere darmiyan hail rahi diwar-e-harf

rakh liya ek baat ne har baat ka parda yahan

dekhiye to ye jahan hai ek jahan-e-ab-o-gil

sochiye to zarre zarre mein hai ek duniya yahan

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yam-ba-yam Phaila Hua Hai Pyas Ka Sahra Yahan In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Yam-ba-yam Phaila Hua Hai Pyas Ka Sahra Yahan is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Yam-ba-yam Phaila Hua Hai Pyas Ka Sahra Yahan for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Yam-ba-yam Phaila Hua Hai Pyas Ka Sahra Yahan in PDF.