TaKHatub Hai Tujhse KHayal Aur Ka Hai

taKHatub hai tujh se KHayal aur ka hai

ye nukta wafa mein baDe ghaur ka hai

wo KHalwat mein kuchh aur jalwat mein kuchh hai

karam us ka mujh par ajab taur ka hai

mera chehra bhi mera chehra nahin hai

ye ehsan mujh par mere daur ka hai

ye nafrat mohabbat ka radd-e-amal hai

ki mujh se taqaza tere jaur ka hai

nae daur ki ibtida ka hai zamin

ki dil aaina gosha-e-saur ka hai

karachi mein bhi mo'atabar ho raha hai

suKHan mein jo andaz lahore ka hai

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaKHatub Hai Tujhse KHayal Aur Ka Hai In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. TaKHatub Hai Tujhse KHayal Aur Ka Hai is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem TaKHatub Hai Tujhse KHayal Aur Ka Hai for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download TaKHatub Hai Tujhse KHayal Aur Ka Hai in PDF.