Pahle To KHwab Zehn Mein Tashkil Ho Gaya

pahle to KHwab zehn mein tashkil ho gaya

phir sail-e-waqt mein kahin tahlil ho gaya

be-nur raston mein jo bhaTke hue the log

jugnu bhi un ke waste qindil ho gaya

kankar malamaton ke giraata hai misl-e-sang

mujh mein koi parind ababil ho gaya

waqt-e-tulua aaya gahan aaftab par

din chaDh raha tha raat mein tabdil ho gaya

tha jis ghani ke pas KHazina-e-ilm-o-fan

wo ahd-e-nau ke hath mein zambil ho gaya

apne gharon ke kar diye aangan lahu lahu

har shaKHs mere shahr ka qabil ho gaya

lauh-e-jabin pe waqt ne wo harf likh diye

chehra gham-e-hayat ki tafsil ho gaya

sad shukr 'soz' mere KHayalat ke liye

mera qalam wasila-e-tarsil ho gaya

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle To KHwab Zehn Mein Tashkil Ho Gaya In English By Famous Poet Hira Nand Soz. Pahle To KHwab Zehn Mein Tashkil Ho Gaya is written by Hira Nand Soz. Read famous Poem Pahle To KHwab Zehn Mein Tashkil Ho Gaya for youth and Student by Hira Nand Soz. Free Download Pahle To KHwab Zehn Mein Tashkil Ho Gaya in PDF.