Dekhe Hain Jo Gham Dil Se Bhulae Nahin Jate

dekhe hain jo gham dil se bhulae nahin jate

ek umr hui yaad ke sae nahin jate

ashkon se KHabar-dar ki aaankhon se na niklen

gir jaen ye moti to uThae nahin jate

har jumbish-e-daman-e-junun jaan-e-adab hai

is rah mein aadab sikhae nahin jate

hum bhi shab-e-gesu ke ujalon mein rahe hain

kya kijiye din pher ke lae nahin jate

shikwa nahin samjhae koi chaaragaron ko

kuchh zaKHm hain aise ki dikhae nahin jate

ai dast-e-jafa sar hain ye arbab-e-wafa ke

kaT jaen to kaT jaen jhukae nahin jate

ai 'hosh' gham-e-dil ke charaghon ki hai kya baat

ek bar jala do to bujhae nahin jate

(1082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhe Hain Jo Gham Dil Se Bhulae Nahin Jate In English By Famous Poet Hosh Tirmizi. Dekhe Hain Jo Gham Dil Se Bhulae Nahin Jate is written by Hosh Tirmizi. Read famous Poem Dekhe Hain Jo Gham Dil Se Bhulae Nahin Jate for youth and Student by Hosh Tirmizi. Free Download Dekhe Hain Jo Gham Dil Se Bhulae Nahin Jate in PDF.