Dil Ko Gham Ras Hai Yun Gul Ko Saba Ho Jaise

dil ko gham ras hai yun gul ko saba ho jaise

ab to ye dard ki surat hi dawa ho jaise

har-nafs halqa-e-zanjir nazar aata hai

zindagi jurm-e-tamanna ki saza ho jaise

kan bajte hain sukut-e-shab-e-tanhai mein

wo KHamoshi hai ki ek hashr bapa ho jaise

ab to diwanon se yun bach ke guzar jati hai

bu-e-gul bhi tere daman ki hawa ho jaise

kahte kahte gham-e-dil umr guzari lekin

phir bhi ehsas ye hai kuchh na kaha ho jaise

'hosh' be-tabi-e-ehsas ka aalam tauba

mujh mein chhup kar wo mujhe dekh raha ho jaise

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Gham Ras Hai Yun Gul Ko Saba Ho Jaise In English By Famous Poet Hosh Tirmizi. Dil Ko Gham Ras Hai Yun Gul Ko Saba Ho Jaise is written by Hosh Tirmizi. Read famous Poem Dil Ko Gham Ras Hai Yun Gul Ko Saba Ho Jaise for youth and Student by Hosh Tirmizi. Free Download Dil Ko Gham Ras Hai Yun Gul Ko Saba Ho Jaise in PDF.