Pas-e-namus-e-tamanna Har Ek Aazar Mein Tha

pas-e-namus-e-tamanna har ek aazar mein tha

nashsha-e-nighat-e-gul bhi KHalish-e-KHar mein tha

kis se kahiye ki zamane ko garan guzra hai

wo fasana ki meri hasrat-e-guftar mein tha

dil ki aata hi nahin tark-e-tamanna ki taraf

koi iqrar ka pahlu tere inkar mein tha

kuchh tujhe yaad hai ai chashm-e-zuleKHa-e-jahan

hum sa yusuf bhi koi misr ke bazar mein tha

zindagi ja na saki sham-o-sahar se aage

sara aalam isi aaina-e-takrar mein tha

umr bhar chashm-e-tamasha ko rahi jis ki talash

'hosh' wo husn-e-gurezan mere ashaar mein tha

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas-e-namus-e-tamanna Har Ek Aazar Mein Tha In English By Famous Poet Hosh Tirmizi. Pas-e-namus-e-tamanna Har Ek Aazar Mein Tha is written by Hosh Tirmizi. Read famous Poem Pas-e-namus-e-tamanna Har Ek Aazar Mein Tha for youth and Student by Hosh Tirmizi. Free Download Pas-e-namus-e-tamanna Har Ek Aazar Mein Tha in PDF.