Tazin-e-bazm-e-gham Ke Liye Koi Shai To Ho

tazin-e-bazm-e-gham ke liye koi shai to ho

raushan charagh-e-dil na sahi jam-e-mai to ho

hum to rahin-e-rishta-e-be-gangi rahe

sare jahan se teri mulaqat hai to ho

gham bhi mujhe qubul hai lekin ba-qadr-e-shauq

dil ka nasib dard sahi pai-ba-pai to ho

fariyaad ek shor hai aahang ke baghair

nala mata-e-dard sahi koi lai to ho

ye kya ki ahl-e-shauq na apne na aap ke

ya maut ya hayat koi baat tai to ho

hai dur husn-e-silsila-e-zer-o-bam ki baat

pahle gudaz-e-sina saza-war-e-nai to ho

har-chand do qadam hi sahi manzil-e-murad

ye muKHtasar si rah magar 'hosh' tai to ho

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tazin-e-bazm-e-gham Ke Liye Koi Shai To Ho In English By Famous Poet Hosh Tirmizi. Tazin-e-bazm-e-gham Ke Liye Koi Shai To Ho is written by Hosh Tirmizi. Read famous Poem Tazin-e-bazm-e-gham Ke Liye Koi Shai To Ho for youth and Student by Hosh Tirmizi. Free Download Tazin-e-bazm-e-gham Ke Liye Koi Shai To Ho in PDF.