Wo Taqaza-e-junun Ab Ke Bahaaron Mein Na Tha

wo taqaza-e-junun ab ke bahaaron mein na tha

ek daman bhi to uljha hua KHaron mein na tha

ashk-e-gham tham gae yaad aate hi un ki surat

jab chaDha chand to phir nur sitaron mein na tha

marne jine ko na samjhe to KHata kis ki hai

kaun sa hukm hai jo un ke ishaaron mein na tha

har qadam KHak se daman ko bachaya tum ne

phir ye shikwa hai ki main rah-guzaron mein na tha

tum sa lakhon mein na tha jaan-e-tamanna lekin

hum sa mahrum-e-tamanna bhi hazaron mein na tha

'hosh' karte na agar zabt-e-fughan kya karte

pursish-e-gham ka saliqa bhi to yaron mein na tha

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Taqaza-e-junun Ab Ke Bahaaron Mein Na Tha In English By Famous Poet Hosh Tirmizi. Wo Taqaza-e-junun Ab Ke Bahaaron Mein Na Tha is written by Hosh Tirmizi. Read famous Poem Wo Taqaza-e-junun Ab Ke Bahaaron Mein Na Tha for youth and Student by Hosh Tirmizi. Free Download Wo Taqaza-e-junun Ab Ke Bahaaron Mein Na Tha in PDF.