Fasana Ab Koi Anjam Pana Chahta Hai

fasana ab koi anjam pana chahta hai

talluq TuTne ko ek bahana chahta hai

jahan ek shaKHs bhi milta nahin hai chahne se

wahan ye dil hatheli par zamana chahta hai

mujhe samjha rahi hai aankh ki tahrir us ki

wo aadhe raste se lauT jaana chahta hai

ye lazim hai ki aankhen dan kar de ishq ko wo

jo apne KHwab ki tabir pana chahta hai

bahut ukta gaya hai be-sukuni se wo apni

samundar jhil ke nazdik aana chahta hai

wo mujh ko aazmata hi raha hai zindagi bhar

magar ye dil ab us ko aazmana chahta hai

use bhi zindagi karni paDegi 'mir' jaisi

suKHan se gar koi rishta nibhana chahta hai

(1032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasana Ab Koi Anjam Pana Chahta Hai In English By Famous Poet Humaira Rahat. Fasana Ab Koi Anjam Pana Chahta Hai is written by Humaira Rahat. Read famous Poem Fasana Ab Koi Anjam Pana Chahta Hai for youth and Student by Humaira Rahat. Free Download Fasana Ab Koi Anjam Pana Chahta Hai in PDF.